Rona padta hai kabhi muskurane ke liye, Khona padta hai kuch, kuch paane ke liye

 

Rona padta hai kabhi muskurane ke liye…

        Khona padta hai kuch, kuch paane ke liye….

( रोना पड़ता है कभी मुस्कुराने के लिए…

खोना पड़ता है कुछ, कुछ पाने के लिए…. )

Dil bikhar jate hai jab kisi  ka dil todo to…

Dard bhulana padta hai, ishq pane ke liye….

( दिल बिखर जाते है जब किसी का दिल तोड़ो तो …

दर्द भुलाना पड़ता है, इश्क पाने के लिए …. )

Yun to hai aasan muskuraht lana chehre par…

Aanshu dete hai inpar pehra par….

( यूँ तो है आसान मुस्कुराहट लाना चेहरे पर …

आंशु देते है इनपर पहरा पर …)

jindgi nahi rukti kisi ke aane ya jane se…

Aanshu bhi tham sakte hai aapke muskurane se….

( जिन्दगी नहीं रूकती किसी के आने या जाने से …

आंशु भी थम सकते है आपके मुस्कुराने से ….)

Rona padta hai kabhi muskurane ke liye…

Khona padta hai kuch, kuch paane ke liye….

( रोना पड़ता है कभी मुस्कुराने के लिए…

खोना पड़ता है कुछ, कुछ पाने के लिए…. )

Ke raste bahut hai manjil ko pane ke….

bas chalne ki deri hai,utha kadam usko paane ke…

( के रास्ते बहुत है मंजिल को पाने के …

बस चलने की देरी है, उठा कदम उसको पाने के ….)

Thak jaye to tu ruk kar aaram kar…

Par chalna kabhi na tu band kar….

( थक जाये तो तू रुक कर आराम कर ….

पर चलना कभी न तू बंद कर ….)

kosis kar, kosis par teeki hai jeet teri …

milega humsafar bhi tujhe jeet pane par….

( कोसिस कर, कोसिस पर टिकी है जीत तेरी …

मिलेगा हमसफ़र भी तुझे जीत पाने पर ….)

Rona padta hai kabhi muskurane ke liye…

Khona padta hai kuch, kuch paane ke liye….

( रोना पड़ता है कभी मुस्कुराने के लिए…

खोना पड़ता है कुछ, कुछ पाने के लिए…. )

 

 

Written By – Adarsh Beohar

7 thoughts on “Rona padta hai kabhi muskurane ke liye, Khona padta hai kuch, kuch paane ke liye

    1. @Vaibhaw verma जी आपके सुझाव पर हिंदी में भी अब से डालना चालू कर दिया है. धन्यवाद |

      Like

Leave a comment